Sunday 16 September 2012

SWARTH


Ye kaise duvidha me hu fasi..
Jo is swarthy duniya me aa basi..
Jaha na koi apna..
Ache dost paana bas reh gya sapna..

Koi aisa jo sacha hota..
Jo aansu poch mere khud rota.
.kar sakti jispe vishwas..
Kash aisa hota koi khas..

Khushi gamo me de jo sath..
Har mushkil me thame hath..
Bol saku jiske samne man ki har baat..
Zada badi na sahi par aasha hai ye meri..

Par ajkl ki duniya me mil paaega na koi aisa..
Log to bas vahi bache hai jo soche jaise ko taisa..
Dhokhe ki is duniya me ab dusht log hi baste hai..
Apno ko dekar jo chot zor zor se haste hain…

Baar baar thokar khakar..
Dhoke baazi me aakar..
Mano na mano pr ye baat samajh me aai hai..
Kadvi sahi par is duniya ki ki”swarth” hi ab sachchai hai…….

No comments:

Post a Comment